NohaTube

Listen & Read Noha Lyrics

Latest Nohay, Lyrics & Videos

Latest Nohas

Haider E Karrar

Nadeem Sarwar (2018)

Ya ali Maula ali ali ali ali ali ali ali ali ali ali ..(2)
Ali ali maula ali yaa ali yaa ali ..(2)
Jaan-e-chaman tu
Shiri shukan tu
Rab ka dahan tu
Shah-e-zaman tu ..(2)
Ali ali maula ali yaa ali yaa ali ..(2)
Uski duniya ghulam hoti hai ..(2)
Jo ali ka ghulam hota hai
Rang Haider ka jispe chad jaae
Uska mar kar bhi ..(2)
Naam hota hai.
Ali ali maula ali Ali maulana ali ..(2)
Maula maula maula Ali-un-waliullah ..(2)
Haan Sarkar Alamdar do alam ka madadgar
Ali Haider - e - Karrar ..(2)
Peero me mera peer
Zabardast hai sarkar
Ali haider - e - Karrar ..(2)
Sarkar alamdar do alam ka madadgar
Ali haider - e - karrar ..(2)
Peero me mera peer
Zabardast hai Sarkar
Ali haider - e - karrar ..(2)
Shaho se bhi aala hai tere dar ke gadagar
Karte hai ghulami teri duniya ke sikandar
Aala hai ameero se fakiro ke mukkaddar
Jannnat ke hai tajir teri dehliz ke naukar
Naar-e-haideri Maula, Naar-e-khayberi Maula
Naar-e-safdari Maula, Naar-e-Qambari Maula..
Meesam ne lagaya hai yehi naara sar-e-daar
Ali haider - e - Karrar ..(2)
Sarkar alamdar do alam ka madadgar
Ali haider - e - karrar ..(2)
Peero me mera peer
Zabardast hai Sarkar
Ali Haider - e - karrar ..(2)
Maula maula maula
Ali-un-waliullah ..(2)
Allah ka anmol jo shahkar bana hai
Islam ka aala jo alamdar bana hai
Mushkil me jo nabiyo ka madadgar bana hai
Woh saare imamo ka jo Sardar bana hai
Kulle iman hai maula
Deen ki shaan hai maula
Shah -e- mardan hai maula
Sher-e- Yazdan hai maula
Kehte hai nabi apna jise waris-e-dastar....
Ali haider - e - Karrar ..(2)
Sarkar alamdar do alam ka madadgar
Ali haider - e - karrar ..(2)
Peero me mera peer Zabardast hai Sarkar
Ali haider - e - karrar ..(2)
Saadat ki pur azm qayadat me ali hai
Shabbir Ke andaz - e - ibadat me ali hai
Sajjad ki Zainab ki khitabat me ali hai
Abbas ke parcham ki jalalat me ali hai
Ali asgar me bhi maula Ali Akbar me bhi maula
Aale athar me bhi maula
Haa bahhattar (72) me bhi maula.
Hai paak gharana tera islam ka meymaar.
Ali haider - e - Karrar ..(2)
Sarkar alamdar do alam ka madadgar
Ali haider - e - karrar ..(2)
Peero me mera peer Zabardast hai Sarkar
Ali haider - e - karrar ..(2)
Maula maula maula Ali-un-waliullah ..(2)
Sarkar yeh sab aap ki Zauja ki dua hai
Ghar ghar me jo yeh matam -e -saadat bapa hai
Har Dil tere baccho'n ka aza khana bana hai
Aankhein hai Najaf Dil me basi karbobala hai
Hum azadar hai maula
Hum wafadar hai maula
Tere ghum khwar hai maula
Aap Sardar hai maula....
Sarkar bana lijiye apna hume Zawwar.....
Ali haider - e - Karrar ..(2)
Sarkar alamdar do alam ka madadgar
Ali haider - e - karrar ..(2)
Shah -e- Mardan sher -e- Yazdan
Kuwat -e- parwardigar
Laa fata illa Ali
La Saif illa Zulfikar ..(2)
BeAli-in be Ali-in Be Ali -in BeAli
BeAli-in be Ali-in Be Ali -in BeAli
Meri har fikr me har soch me rehta hai Ali
BeAli-in be Ali-in Be Ali -in BeAli
Noor bankar meri aankho'n me chamakta hai Ali
BeAli-in be Ali-in Be Ali -in BeAli
Ishq bankar meri saaso'n me samaya hai Ali
Misl -e - Quran mere Dil me dhadakta hai Ali
Abre rehmat ki tarah mujhpe barasta hai Ali
Shah -e- Mardan sher -e- Yazdan
Kuwat -e- parwardigar ..(2)
Laa fata illa Ali
La Saif illa Zulfikar
Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali.
Ali Ali Ali Ali ..(3)
Fatah - e - Khyber Ali Ali Ali Ali.
Nafs - e - payambar Ali Ali Ali Ali.
Saki - e - kausar Ali Ali Ali Ali.
Nabiyon ka yaawar Ali Ali Ali Ali.
Waliyon ka rehbar Ali Ali Ali Ali.
Gauhar - e - Mimber Ali Ali Ali Ali.
Haaye sher - e - Dilawar Ali Ali Ali Ali.
Mera kaul - o - Muqqaddar Ali Ali Ali Ali.
Sahifa - e - falak Haider Haider.
Wazifa - e - malak Haider Haider.
Arsh - e - ula talak Haider Haider.
Shehr - e - shah - e - Najaf Haider Haider.
Nukta - e - Ba sharaf Haider Haider.
Sadaa hai har taraf Haider Haider.
Maula Maula Ali Ali Ali Ali.
Maula Maula Ali Ali Ali Ali.
Maula Maula Ali Ali Ali Ali.
Ali Ali Ali Ali..(4)
ALI ALI ALI ALI ALI...

Akhri Sajda

Nadeem Sarwar (2025)

Hilne Laga Arsh e Barin
Rone Lagi Karbala
Lakhon Katilon Main Tha
Magar Ye Sach Hai ba Khuda
Koi Na Hussain Or
Khuda Ke Darmayan Tha
Sajde Main Hussain The
Labon Pe Thi Yehi Sada
Le Ae Mere Allah Ab Tere Hawale
Malik Tera Banda Ab Tere Hawale
Arre Zindagi Se Sair Ho Chuka
Kar Raha Hon Aakhri Sajda
Subhana Rabbi Al Aala
Asar Ki Sunta Hon Sada e Azan
Aakhri Dena Hai Mujhe Imtehan
Charon Taraf Teeron Sina Barchhiyan
Hain Ye Mere Qatal Ki Tyariyan
Jante Hain Kis Ka Nawasa Hon Main
Jante Hain Kis Liye Aaya Hon Main
Tera Hi Paigham Sunata Hon
Phir Bhi Sitam Ka Hi Nishana Hon Main
Na Mera Ghar Bar na Lashkar Raha
Arre Akbar O Abbas Ka Gham Kha Gya
Itne Sitam Dil Pe Main Sehta Raha
Shukr Hai Wada To Wafa Ho Gya
Yad Rakhe Ga Ye Zamana Sada
Kaise Hamen Dasht Main Luta Gya
Kaise Hamen Nehr Pe Pyasa Rakha
Kaise Mera Aakhri Sajda Hua
Khemo Main Kuhram Hai Mere Khuda
Betion Behno Main Hai Matam Bapa
Ghash Main Hai Sajad Akela Mera
Baad Mere in Ka Hai Tu Aasra
Lo Dam e Aakhir Chali Aai Hain Maa
Sath Main Aaye Hain Mere Baba Jan
Bhai Hasan Khak Pe Girya Kuna
Dekhte Hain Nana Mera Imtehan
Jaise Hi Sar Khak Pe Sheh Ne Rakha
Shimr e Lain Shah Ki Janib Badha
Larzi Zameen Khon Barasne Laga
Aakhri Shabbir Ki Gonji Sada
Le Aye Mere Ab Tere Hawale
Malik Tera Banda Ab Tere Hawale
Are Zindagi Se Sair Ho Chuka
Kar Rha Hoon Aakhri Sajda..

Abbas Hai Na

Farhan Ali Waris (2025)

Sab Ki Ridaon Ka Nigehdar Hai
Ghazi Mera Aaisa Wafadar hai
Chheen Nahi Sakhta Koi Chadhren
Jab Talak Abbas Alamdar Hai
Ye Kehke Behno Ko
Zainab Ka Tasali Daina
Abbas Hai Na
Har Aik Behan Ko Bhai Pe Maan Hota Hai
Jahan Main Bhai To Behno Ki Jaan Hota Hai
Ghamo Ki Dhoop Main Wo Saibaan Hota Hai
Bas Iss Yaqeen Se Khaimo Mai Mutmayin Rehna
Haram Ki Aas Bandhati Raho Meri Khuahar
Batao Inko Brosa Hai Kitna Ghazi Par
Rahain Wo Bazo Salamat Dua Karo Mil Kar
Nazar Utha Kar Dar e Khaima Par To Dhaikho Na
Essi Ke Sath Mai Aamari Ain Thin Ghar Se
Bohat Mujhe Bhi Hai Dharas Essi Bradar Se
Na Hone De Ga Wo Mehroom Ham Ko Chadar Se
Badhe Jo Ranj Ke Saye To Bas Yehi Kahna
Dikhai De Tumhe Jis Dam Yazeed Ka Lashkar
Dikhayen Wo Tumhe Talwaar o Naiza o Khanjar
Chamakte Ke Naizo Pe Par Jai Agar Tumhari Nazar
Tum Apne Dil Mai Jagga Khouf Ko Nahi Dena
Kaha Ye Ghazi Ne Kulsoom Se Meri Khuahar
Fida Hussain Pe Har Maa Kare Gi Apne Pisar
Jo Tere Bete Nahi Hain To Koi Gam Na Kar
Teri Taraf Se Fida Sheh Pe Hone Ko Behna
Phophi Ye Boli Sakina Se Ae Meri Bachi
Chacha Se Keh do Wo Le Aayen Ge Abhi Pani
Ye Mashk Kia Hai Wo Dariya Utha Ke Wo Lade Abhi
Bas Apni Aankh Main Anso Na Aaine Daina
Bayan Kaise Wo Manzar Ho Dono Janib Ka
Udhar Traye Pe Ghazi Ka Mashk Ko Bharna
Kate Jo Bazu Chhidi Mashk Sara Pani Baha
Idhar Sakina Ka Pyason Ko Dilasa Dena
Tere Hasham Pe Hain Qurban Mazhar o Farhan
Alam Gharo Pe Lagata Hai Aaj Sara Jahan
Hai Tuhi Ab Bhi Gareebon Ka Bekasoo Ka Maan
Alam Ko Daikh Ke Har Waqt Bas Yehi Kahna

Sakina Jaan

Farhan Ali Waris (2021)

Sakina...
Sakina jaan, baba qurbaan
Qafla lut gaya, bar sare karbala
Mujhko maara gaya, tujkho pyaasa rakha
Naize pe hum chale, tu chali khaak pe
Paaon tere jale, hum tadapte rahe
Sakina.. meri bachhi aye baba ki jaan
tujhse beti juda mai hua tha kaha'n
tu thi jaha'n, mai tha waha'n
Meri bacchi baba qurbaan
Meri bacchi baba qurbaan
Meri bacchi baba qurbaan
Rona na yu'n, rona na yu'n
Mai saath hoo'n
Shahe mazloom kehte the sakina se aye bibi
Shahe mazloom kehte the sakina se aye bibi
Hamari aur tumhari dasta'n hai ek jaisi
haye
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
1. Teri meri musibat hai sakina ek hi jaisi
chhuri gardan pe mere thi,
tere gardan mein hai rassi
mai naize par chala hu aur tu kaato'n pe aye bibi
mere sar se lahu jaari
tere kaano se khoo'n jaari
tamache tere chehre par lagaye jaa rahe hai
yaha naize pe ham patthar hi khaye jaa rahe hai
haye..
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Farsi 1..
Shahe mazloom mi guft e ruqayye aye beheshtam..(2)
che qadr in sar nawishtad shud shabihe sar nawishtam
haye..
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Farsi 2..
Ruqayye dukhtare in ghum daleele aaho zari shud
saram bar naize raftam, maa tu payad nazre khaar ee shud
bebin khoone guluyam raa, ke az gushe tu jaari shud
tana bad juri gardan misle teeghe aab dari shud
rukhe tu khoon shude az eeliye sakhte laeenan
shikast e rooye in naize saram az sang e tiflan
haye..
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
2. Laee ne khaich kar cheeni jo tujhse baliya'n teri
hua kaano se khoo'n jaari,
sadaa ammu ko tune di
teri ghurbat mere jaisi, meri halat tere jaisi
anguthi ke liye kaati,
sitamgar ne meri ungli
yaha'n beti tujhe naaqo'n se girwaya gaya hai
mere laashe pe waa'n ghodo'n ko daudaya gaya hai
haye..
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Farsi 3..
Laeenan mikashand az gushe tu gushware haa yat raa
shud az gushe tu khoon jaari ammuyad bood kash inja
mano tu misle hum hastim, bebin aye dukhtare baba
adoo hum rahe angushtar, burid angusht e dastam raa
tu unjaa ast shutur mi ufti bar reege biyaba'n
wa injaa lashe man pamaal shud ba summe asbaab
haye..
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
3. Tu chadar ko tarasti thi kafan ko mai tarasta tha
teri chadar bani matti,
bani matti kafan mera
sina se tere naaqo ka bada tha faasla dukhiya
tu baba ko bulati thi
bulate the tujhe baba
aziyat ka safar tha dasht se kufe ke dar tak
tadapte baap beti aagaye shiree'n ke ghar tak
haye..
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
4. Sitam tujh par bhi dhate hai sitam mujhpar bhi dhate hai
yateema tujh ko kehte hai,
mujhe baaghi bulate hai
sina ke paas se zalim jo naaqe leke jaate hai
tujhe bhi aazmate hai,
mujhe bhi aazmate hai
bohot nazdeek hokar bhi ajab si dooriya'n hai
badi majburiya'n hai ye badi majburiya'n hai
haye..
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
5. Tamache tune khaye hai, hai patthar khaye maine bhi
tere rukhsar hai neele,
mera chehra hua zakhmi
kayi din ka hu mai pyaasa kayi din ki hai tu pyaasi
gala hai khushk tera bhi,
rage meri bhi hai sukhi
hamare dard ko samjhe koi aye kaash bibi
mai laasha ho ke zinda hu, tu zinda laash bibi
haye..
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
6. Aseer e zulm hai tu bhi, aseer e zulm hu mai bhi
mai hu tanha sare maqtal,
tu hai zindaan mein qaidi
yaha zindaan ki garmi, waha'n maidaan ki garmi
yaha soyi nahi tu bhi, waha soya nahi mai bhi
kabhi tu chayn se seene pe sojati thi mere
mera sar aaj hai aye laadli seene pe tere
haye..
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
7. Gaye farhan aur mazhar ye manzar shaam mein dekha
kaha'n beti ki turbat hai,
kaha'n baba ka hai roza
har ek zaer laraz jaye agar ye sochle jumla
ke shaam o karbala ke darmiya'n hai faasla kitna
sakina aur baba mein judayi aaj bhi hai
labe shabbir pe logo dohayi aaj bhi hai
haye..
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Jaan, Sakina jaan, Sakina jaan, Sakina jaan
baba qurbaan
Sakina jaan, baba qurbaan
Sakina jaan, baba qurbaan

Ab Ankhain Khol Do Akber

Mir Hasan Mir (2025)

Haaye Akbar...4
Haaye jab suni shah ne awaz jawan bete ki ..
Laash aake ye farmane lage sibte Nabi
Ab aankhein khol do akbar..
Ab aankhein khol do akbar sirhane aa gaya baba...2
Zaefi me jawan lasha..2
uthane aa gaya baba...
Ab aankhein khol do akbar...2
1. Guzar jayenge hum is imtehan se ya Ali kehkar
Nikal jayegi ye barchi na ghabrana mere dilbar
Tumhara haath seene..2
hatane aa gaya baba
Ab aankhein khol do akbar....2
2. Unhone kya samjh rakha tha akbar be sahara hai
Ishare se bata do kisne kisne tumko mara hai
Ulat kar aasti meshar uthane aa gaya baba
Ab aankhein khol do akbar...2
3. Chali aayi thi aadhe raste tak saaniye zahra...
Badi mushkil se bheja hai kasam dekar teri beta...
Bahen kaise tadapti hai batane aa gaya baba...
Ab aankhein khol do akbar...2
4. Haaye...
Kaha tha kisne seene me tumhare tod kar naiza....
Are ye Manzar dekhkar Shabbir zinda reh na paayega...
Khabar kar do use barchi chudane aa gaya baba...
Ab aankhein khol do akbar...2
5. Lade ho der tak thak to gaye hoge mere dilbar...
Mujhe mat rokna hargis tumhe meri kasam akbar...
Tumhare chand se bazu..2 dabane aa gaya baba...
Ab aankhein khol do...2
6. Uthata dhum se mayyat agar hota madine me...
Kafan mai de nahi sakta yahi hai dard seene me...
Ammama tumko Nana ka udhane aa gaya baba...
Ab aankhein khol do akbar...2
7. Jo rota dekhti mujhko tadap jati meri madar...
Mai khul kar ro nahi paya Mohammad ke janaze par...
Jo aansu reh gaye the wo...2 bahane aa gaya baba...
Ab aankhein khol do akbar...2
8. Nazar kaise lagegi ab badan saanso se khali hai...
Kalai se tumhari kaali dori khulne wali hai...
Phuphi ki aakhri mannat badhane aa gaya baba..
Ab aankhein khol do akbar...2
9. Nazar aa jayega tumko bahen hai ab kahan beta...
Utho dekho hamari ungliyo ke darmiya beta ...
Tumhe sughra ki tanhai dikhane aa gaya baba...
Ab aankhein khol do akbar....2
10. Padhi naade Ali lekar chale sheh lasha e akbar...
Takallum aayi pehlu se sada e fatah e khaiber...
Mere beta teri himmat badhane aa gaya baba...
Ab aankhein khol do akbar sirhane aa gaya baba...2

Tu Na Aya Ghazi

Mir Hasan Mir (2021)

haye abbas haye abbas
al-e-imran kahan aur zindan kahan
le behan qaid hui
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini mai sada deti rahi
tu na aaya ghazi
1. aagai sham e alam lut gaye ehl e haram
rait per jalti hui hogaya thanda alam
pursa dene ke liye tujh se milne ke liye agaye baba ali
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi
2. dhoop main to tha shajr tujh se abad tha ghar
hai barhana mera sar kiya nahi tujh ko khabar
aye alamdar e wafa us behan ko ba khuda tujhse dharas thi bari
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi
3. kiya kahon sher mere be rida hum ko liye
ye musalman saray shehr dar shehr gaye
khalqat e kufa kabhi khalqat e sham kabhi baraha hum pe hansi
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi
4. kitni bebas thi behan aye shehanshah e wafa
naam le le ke mera jab ye zalim ne kaha
naaz tha jis pe tujhe ab bulao na usay
aur main roti rahina aya ghazi
tou na aaya ghazi
5. hum ko pani na mile teri khushboo to rahay
tere bazu na katain chahe mashkeza chiday
ye magar ho na saka tere bazu hain juda
mujh pe hai tashna labi na aya ghazi
tu na aaya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi
6. kya sakina se kahon aye mere dil ke sukoon
haye pani ke liye beh gaya sub tera khoon
abb koi aas nahi tou mere pass nahi
rasi shanoon main bandhi na aya ghazi
tu na aaya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi
7. jab chali sheh pe churi aye mere sher e jari
hath malti thi behan kuch qadam dur khari
kaat gaya sheh ka gala haye bhai ne sada
mujh ko har zarb pe di
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi
8. qaid khane main qaza jab sakina ko mili
de ke kurtay ka kafan bachi dafnaye gaye
us ghari naam tera surat e naad e ali
bus main dohrati rahi
tu na aya ghazi…..x2
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi
9. roya rehan kalam kar ke ye baat rakam
khoon main doob gaya mera ghazi ka alam
zakhmi zainab ka jigar khoon fishan shah ka sar
aye khaymon main shaqi
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazitu na aya ghazi…..x3

Abbas Ka Parcham Hai Alamdar Ka Parcham

Farhan Ali Waris (2021)

Abal fazl..(6)
Abbas alamdar wafadar wafadar..(2)
Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
1. Parcham mere murshid ka jo ghar ghar pe laga hai
ye saare azadaro pe zahra ki ataa hai
is parcham e abbas ko zainab ki dua hai
kon isko jhukayega bhala kis mein hai ye dum
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abal Fazl..(4)
2. Ghazi ka sakina se wafa ka hai ye aalam
parcham se juda mashk hai na mashk se parcham
jaise kisi baazu pe ho taweez muqaddam
ye baali sakina ki dua saath hai har dum
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Discover more
iOS Apps
mobile application
Mobile Apps & Add-Ons
Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abbas alamdar, wafadar wafadar..(2)
3. Matam na ruka tha na ruka hai na ruke ga
parcham na jhuka tha na jhuka hai na jhuke ga
har lehza julooso ki qayadat yeh karega
ho koi fiza, koi waba, koi bhi mausam
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abal Fazl..(4)
4. Parcham yeh marizo ko shifa baa'nt raha hai
duniya ko mohabbat ki fiza baa'nt raha hai
aulaad, makaa'n, rizq, wafa baa'nt raha hai
kya fikr ho diniya ki hame kya ho bhala ghum
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abbas alamdar, wafadar wafadar ..(2)
5. Yeh baat hai bachpan ki mujhe yaad abhi bhi
har aath moharram ko jo baba se kahi thi
yeh parcham e abbas uthana hai mujhe bhi
kuch saath mera di jiye hai umr meri kam
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abal Fazl..(4)
6. Manzar yeh julooso mein nazar aata hai humko
tasleem kiya sab ne isi jood o karam ko
sar jhukta nahi uska uthaye jo alam ko
yeh naara lagate hai kabhi aap kabhi hum
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Discover more
Song Lyrics & Tabs
iOS Apps
mobile application
Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abbas alamdar, wafadar wafadar ..(2)
7. Haan mazhar o farhan nazar ayega ek din
maula ka alam kaabe pe lehrayega ek din
dil Fatima Zahra ka sukoon payega ek din
khush honge bohot dekhke yeh Waris e adam
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abbas ka parcham hai alamdar ka parcham
ucha hai mere sayyed o sardar ka parcham
Abal Fazl..(6)

Sab Yaad Hai Moula

Ali Shanawar (2023)

Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Hussain
Jari Hai Sadiyon Say Safar Karbobala Ka
Karwan Chalta Hi Raha Ahl E Aza Ka
Jaisay Kabhi Maula Nay Hum Ko Na Bhulaya
Hum Nay Bhi Wallah Na Maula Ko Bhulaya
Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Woh Tera Sar Na Jhukana Apnay Waday Ko Nibhana
Tum Ko Bhoola Na Zamana Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Kaisay Hussain Aap Ki Hum Shan Batayen
Kaisay Woh Alfaaz Bhala Dhoond Ky Layen
Kitna Hai Baichain Yeh Dill Kaisay Batayen
Kaash Yeh Dill Khol Ky Hum Tum Ko Dikhayen
Tum Ko Hum Nay Na Bhulaya
Ghum Yeh Bachpan Say Manaya
Aur Sab Ko Hai Sunaya
Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Na Bhoolay Thay Na Bhoolen Gay Yeh Ghum Tera Hussain
Wallah Rahay Ga Yeh Sada Yaad Ya Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Karbobala Ata Hai Ab Sara Zamana
Kaisay Bani Kis Nay Kiya Is Ko Mualla
Kis Ki Hai Jageer Yahan Kon Hai Rehta
Kon Hai Is Saltanat E Noor Ka Maula
Woh Hussain Ibne Ali Hai
Woh Nawasa E Nabi Hai
Karbala Jis Say Saji Hai
Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Woh Tera Sar Na Jhukana Apnay Waday Ko Nibhana
Tum Ko Bhoola Na Zamana Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Maula Hussain Aap Say Kya Kya Nahi Seekha
Kya Hai Behan Bhai Ka Maan Baap Ka Rishta
Kaisi Ho Aulad Yahan Dost Ho Kaisa
Hum Ko Yeh Sab Karbobala Mein Nazar Aaya
Kahin Ghazi Sa Baradar Kahin Beta Ali Akbar
Kahin Zainab Si Woh Khuahar Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Na Bhoolay Thay Na Bhoolen Gay Yeh Ghum Tera Hussain
Wallah Rahay Ga Yeh Sada Yaad Ya Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Pehli Dafa Karbobala Jab Main Gaya Tha
Charon Taraf Meray Tha Jannat Ka Nazara
Mera To Har Lamha Ibadat Mein Hi Guzra
Jaagna Din Raat Azadaron Mein Rehna
Kabhi Is Rozay Py Jana
Kabhi Us Rozay Py Jana
Farsh Matam Ka Bichana
Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Woh Tera Sar Na Jhukana Apnay Waday Ko Nibhana
Tum Ko Bhoola Na Zamana Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Aaj Bhi Hum Aisay Muharram Hain Manatay
Apnay Gharon Mein Hain Aza Khanay Sajatay
Saray Azadar Sabeelen Hain Lagatay
Naam Py Maula Kay Tabarruk Hain Khilatay
Kalay Kaprhay Hain Pehantay
Farsh E Matam Hain Bichatay
Aap Ka Gham Hain Manatay
Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Na Bhoolay Thay Na Bhoolen Gay Yeh Ghum Tera Hussain
Wallah Rahay Ga Yeh Sada Yaad Ya Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Jab Bhi Alam Dekha Alamdar E Wafa Ka
Yad Hamen Aaya Woh Mashkeeza Woh Dariya
Laot Ky Jab Aaya Na Saqqa E Sakina
Lut Gaye Sadaat Sitam Kya Nahi Dekha
Kabhi Bazar Mein Jana
Kabhi Darbar Mein Jana
Kabhi Zindaan Nibhana
Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Woh Tera Sar Na Jhukana Apnay Waday Ko Nibhana
Tum Ko Bhoola Na Zamana Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Kal To Tahay Ashoor Mein Tanha Meray Maula
Aaj Hai Sath Aap Kay Yeh Sara Zamana
Aap Ko Har Nasl Nay Har Qaom Nay Mana
Hota Hai Har Mulk Mein Labbaik Hussaina
Ab To Har Dill Ka Hai Nara
Ab To Har Ghar Hai Tumhara
Sara Aalim Yeh Pukara
Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Woh Tera Sar Na Jhukana Apnay Waday Ko Nibhana
Tum Ko Bhoola Na Zamana Maula Maula
Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Na Bhoolay Thay Na Bhoolen Gay Yeh Ghum Tera Hussain
Wallah Rahay Ga Yeh Sada Yaad Ya Hussain

Abbas Se Kehna Hai

Ali Shanawar and Ali Jee (2023)

Abbas Abbas
Abbas Se Kehna Hai
Ay Ishq E Hussaini Mujhay Aijaaz Dikha Day
Tu Meri Aqeedat Ka Mujhy Aisa Sila Day
Ek Bar Mujhay Khawab Mein Ghazi Say Mila Day
Jo Bat Hai Is Dill Mein Woh Sarkar Say Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Jo Bat Hai Is Dill Mein Woh Sarkar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Ghazi Alamdar E Wafa Ghazi Alamdar
Abbas Se Kehna Hai Keh Tum Shah E Wafa Ho
Tum Sheh Ky Alamdar Sakina Kay Chacha Ho
Aur Saray Muhibbon K Liye Dast E Ataa Ho
Abbas Ghulami Ki Sanad Ap Say Lena Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Ghazi Alamdar E Wafa Ghazi Alamdar
Jo Shan E Alamdar Wahi Shan E Alam Hai
Dono Hi Hamaray Hain Yeh Malik Ka Karam Hai
Maula Yeh Alam Aap Ka Hum Sab Ka Bharam Hai
Hum Ko To Alam Ky Hi Sada Saye Mein Rehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Jo Bat Hai Is Dill Mein Woh Sarkar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Tum Bab E Hawayej Ho Waseela Ho Hamara
Ata Hai Muraden Liye Chokhat Py Zamana
Dar Se Tumharay Koi Khali Nahi Jata
Allah Say Manga Hai Magar Tum Nay Dilana Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Ghazi Alamdar E Wafa Ghazi Alamdar
Gham Koi Bhi Jab Dill Ko Hamaray Hai Satata
Jab Koi Karha Waqt Kabhi Hum Py Hai Ata
Abbas Abbas
Abbas Alam Aap Ka Himmat Hai Barhata
Dill Tootay To Toota Hua Dill Tum Ko Bulata Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Jo Bat Hai Is Dill Mein Woh Sarkar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Saeen Meray Sarkar Meray Murshid O Maula
Is Bar Muharram Mein Ho Mera Bhi Bulawa
Likhwa Do Mera Naam Bhi Zawwaron Mein Aaqa
Ro Ro Ky Tumhen Noha Sakeena Ka Sunana Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Ghazi Alamdar E Wafa Ghazi Alamdar
Jo Jo Bhi Sitam Baad E Alamdar Hua Hai
Sadaat Nay Pardais Mein Jo Zulm Saha Hai
Har Morh Py Zainab Nay Yehi Ro Ky Kaha Hai
Is Dill Py Jo Guzri Hai Kisi Say Nahi Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Jo Bat Hai Is Dill Mein Woh Sarkar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai Keh Ghar Aao Na Maula
Tum Apni Ziyarat Hamen Karwao Na Maula
Meray Ghar Aao Na Maula Meray Ghar Aao Na Maula
Ek Tohfa Tumhara Hai Woh Lay Jao Na Maula
Pani Sy Bhari Mashk E Sakina Tumhen Dena Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Alamdar Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai
Abbas Meray Rabb Ka Anmol Waseela Hai
Mashoor Zamanay Mein Saqqa E Sakina Hai
Har Tootay Huye Dill Ka Abbas Waseela Hai
Yeh Bab E Hawayej Hai Har Gham Ka Madaawa Hai
Har Labb Ka Wazeefa Hai Har Dill Mein Dharhakta Hai
Girton Ko Uthata Hai Doobo To Bachata Hai
Taqdeer Jagata Hai Qismat Ko Sajaata Hai
Abbas Se Kehna Hai Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai Hasnain Ka Sadqa Do
Abbas Se Kehna Hai Jholi Ko Meri Bhar Do
Abbas Se Kehna Hai Mushkil Meri Hal Kar Do
Abbas Se Kehna Hai Parcham Ki Hawa Dy Do
Abbas Se Kehna Hai Rozay Py Bula Bhaijo
Zawwari Ataa Kar Do Mola Yeh Karam Kar Do
Mola Yeh Karam Kar Do
Mujhay Abbas Se Kehna Hai
Mujhay Abbas Se Kehna Hai
Abbas Se Kehna Hai

Hoga Ya Hussain

Nadeem Sarwar (2023)

Hoga Jab Bedar Ye Zamana Ya Hussain Saray Jahan K Lab Par Hoga,
Hoga Ya Hussain
Shah Asst Hussain
Badshah Asst Hussain
Wallah Deen Asst Hussain
Deen Panah Asst Hussain
Hoga Ya Hussain, Hoga Hoga Ya Hussain
Aisa Hai Aisa Mere Mola Ka Gharana
Rab Ne Banaya Jiski Khatir Yeh Zamana
Rab Ne Banaya Jiski Khatir Yeh Zamana
Syed Sultan Ka Ghar
Kulle Eeman Ka Ghar
Syed Sultan Ka Ghar
Kulle Eeman Ka Ghar
Nokar Hain Jiske Ghar Ka Sara Yeh Jahan
Samjhay Jab Apka Gharana Ya Hussain
Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya
Hussain
Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya
Hussain
Hoga Jab Bedar Ye Zamana Ya Hussain Saray Jahan K Lab Par Hoga,
Hoga Ya Hussain
Hota Tha Ya Hussain Hota Hai Ya Hussain Hota Rahega Ya Hussain Ya Hussain
Hussian Ya Hussain
Hussian Ya Hussain
Hussian Ya Hussain
Hussian Ya Hussain
Ya Hussain
Jo Na Kiya Kisi Ne Tum Ne Kar Dikhaya Rahe Khuda Mai Mola Ghar Ka Ghar
Lutaya Rahe Khuda Mai Mola Ghar Ka Ghar Lutaya
Tum Par Salam Mola
Har Subho Sham Mola
Tumsa Nhi Hai Mola Koi Dosra
Hoga Har Insan Jab Tumhara Ya Hussain Hoga Har Insan Jab Tumhara Ya Hussain
Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya Hussain
Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya Hussain
Hoga Jab Bedar Ye Zamana Ya Hussain Hoga Jab Bedar Ye Zamana Ya Hussain Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya Hussain
Shah Asst Hussain Badshah Asst Hussain Wallah Deen Asst Hussain Deen Panah Asst Hussain
Hoga Ya Hussain, Hoga Hoga Ya Hussain
Aa Dekh Zara Yeh Karbobla Kya Noor Khuda ka Bikhra Hai
Hairaan karodo Ankhay Hain Har Simt Hussain Ka Jalwa Hai
Kal Jalta Hua ek Sehra Tha Ab Jannat Ka Ik Tukda Hai
Kal Paak Hussain Akela Tha Ab Uske Sath Zamana Hai
Jo Beet Gaya Jo Ayega Har Door Tumhara Ya Hussain Mola Hai Hamara Ya Hussain
Hum Sabka Hai Nara Ya Hussain
Hoga Ya Hussain, Hoga Hoga Ya Hussain Hoga Ya Hussain, Hoga Hoga Ya Hussain
Jari Tha Jarhi Hai Or Jari He Rahega
Har Gham Pe Gham Tumhara Bhari He Har Gham Pe Gham Tumhara Bhari He
Rahega
Rahega
Tum Par Qurbaan Mola
Hum Sabki Jaan Mola
Tum Par Qurbaan Mola
Hum Sabki Jaan Mola
Tum He Rahogay Mola Seeno Mai Sada
Dil Jab Hoga Apka Thikana Ya Hussain Dil Jab Hoga Apka Thikana Ya Hussain
Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya Hussain
Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya Hussain
Hoga Jab Bedar Ye Zamana Ya Hussain Hoga Jab Bedar Ye Zamana Ya Hussain Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya Hussain
Hota Tha Ya Hussain Hota Hai Ya Hussain Hota Rahega Ya Hussain
Ya Hussain
Hussian Ya Hussain
Hussian Ya Hussain
Hussian Ya Hussain
Hussian Ya Hussain
Ya Hussain
Jab Bhi Ayengay Mola Imam E Zamana Unkay Labo Pe Hoga, Noha Karabla Ka Unkay Labo Pe Hoga, Noha Karabla Ka
Har Dil Bedaar Hoga
Sheh Ka Zawar Hoga
Har Dil Bedaar Hoga
Sari Dunya Mai Hoga Zikre Karabla
Matam Hoga Apka Phir Asa Ya Hussain Matam Hoga Apka Phir Asa Ya Hussain
Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya Hussain
Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya Hussain
Hoga Jab Bedar Ye Zamana Ya Hussain Saray Jahan K Lab Par Hoga, Hoga Ya
Hussain
Hota Tha Ya Hussain Hota Hai Ya Hussain Hota Rahega Ya Hussain Ya Hussain
Hussian Ya Hussain
Hussian Ya Hussain
Hussian Ya Hussain
Hussian Ya Hussain
Ya Hussain
Shabbir K Jesa Dunya Mai
Na Aya Tha Na Ayega
Allah Se Asa Ishq Bhala
Ab Kar K Kon Dikhaega Ab Kar K Kon Dikhaega
Quraan Shahe Wala Ki Tarha
Nezay Par Kon Sulaega
Ab Karbobala Jc Basti
Na Koi Or Basaega
Na Koi Or Basaega
Ya Shah E Zaman
Aay Zakhmi Badan Tu Zinda Hai Painda Hai Yeh Sara Zamana Kehta Hai
Tera Deen Bhi Tu Bhi Sacha Hai
Har Dil Ne Pukara
Ya Hussain
Har Aankh Ka Tara
Ya Hussain
Har Qom Ka Nara
Ya Hussain
Mola Hai Hamara
Ya Hussain
Mola Hai Hamara
Ya Hussain
Mola Hai Hamara
Ya Hussain
Mola Hai Hamara
Ya Hussain
Mola Hai Hamara
Ya Hussain
Mola Hai Hamara
Ya Hussain
Mola Hai Hamara
Ya Hussain
Ya Hussain
Ya Hussain
Hussain...

Mujhe Kehte Hai Abbas

Farhan Ali Waris (2023)

ABBAS(a.s.)
AL ABBAS(a.s.)
ABBAS(a.s.)
AL ABBAS(a.s.)
ABBAS(a.s.)
SUNO FOUJE JAFAKAR MAIN
ABBAS E ALI(a.s.) HOON
ALAM PAAS HAI MERE MAIN
ALAMDAR E JARI(a.s.) HOON
QAZA DARTI HAI JIS SAY MAIN
WOH QAHR E JALI HOON
WOHI JAAH O HASHAM HAI
WALI IBN E WALI HOON
MERE SAMNE NO LAAKH KI
AUKAT BHALA KIA
AGAR CHAHO TO LE JAO MAIN
EK MASHK MAIN DARYA
MERE HAATH MAIN DEKHO NA KOI
TEER NA TALWAR KHABARDAR
MUJHE KEHTE HAIN ABBAS(a.s.)
AGAR GHAIZ MAIN AO
TO EK HASHAR UTHAOO
FALAK DHARTI PAY LAO
TUMHE AAJ BATAO
MUJHE KEHTE HAIN ABBAS(a.s.)
ABHI KHOUF HO TAARI
HAWA ROUK LOON SAARI
MERI ZARAB HAI KAARI
QAZAA HOON MAIN TUMHARI
MUJHE KEHTE HAIN ABBAS(a.s.)
Cun at saldi Farat usta alinin qazab oglu
Salib val vala afaqa o ali nasab oglu.
Cakib tigi sarar bar dusub larzaya kuffar.
Dayib birbira asrar ce tipo ce alamdar
Yetib ta safi adaya abalfazli vafadar
O sar cesmayi isar acib nitqi goharbar.
Buyurdu o zaman gus edin ey lesgari xunxaru cafakaru sitamkar,
manam Hazrat Abbas(a.s.)
Manam sahibi sovlat
Manam siri sucaat
Manam madani qeyrat
Manam manbayi ismat
Manam Hazrate Abbas(a.s.)
Manam mehri nubuvvat
Manam babi karamat
Manam kani fasahat va balagat va karamat
Manam Hazrate Abbas(a.s.)
O sirin harakati
Mukarrar hamalati
Sanavu salavati
Tutub dasto falati
Manam Hazrate Abbas(a.s.)
Alib nahri Farati
Sevindirdi banati
Dedi qalbizi ey qovm
Tutub kinavo vasvas
Manam Hazrate Abbas(a.s.)
Alamdari dilavar
Sipahdari muzaffar
Kamar bastayi Heydar
O zargami qazabnak
Abalfazli hunarvar
Vafadari Huseyndir
Boyuk mansabi vardir
Sipahdari Huseyndir
BARHA SHAIR E JARI
BANA QAHR E JALI
QAZA KAHNE LAGI
HATAY PAHRE SABHI
SOOY NEHAR GAYA
ALAM GAARH DYA
JO MASHKIZA BHARA
SOOY KHEMA CHALA
ABBAS(a.s.)
ABBAS(a.s.)
UDHAR DAR PAY KHARI BAALI SAKINA(s.a.) KI SADA THI
CHALAY AO CHACHA JAN(a.s.) BHATIJI HAI YEH PYASI
IDHAR TEER LAGA MASHK PAY OR BAH GAYA PANI
KATAY GHAZI(a.s.) KAY SHAANAY
ALAM DAANTO SAY THAAMAY
GERAA GHORAY SAY ABBAS E ALAMDAR(a.s.) ZAMEEN PER
LAGA AANKH MAIN EK TEER LAGA GURZ JABEEN PER
SAKINA(s.a.) SAY HOON SHARMINDA YEHI KEHTA THA JARRAR(a.s.)
CHACHA(a.s.) TERA HAI GHUMKHUAR
MUJHE KEHTE HAIN ABBAS(a.s.)
Sakina(s.a.) o zaman verdi xabar Aali Abaya
Cagirdi hami atfali yigib xeyma saraya
Goturdu balaca allarini samti samaya
Dilin açdi duaya
Edib arz Xudaya
Ravadir axa darya !
Yana itrati Taha
Sola gulsani Zahra(s.a.) !
Eda mahsari barpa
Sala lasgara qovga
Dola qanila sahra
Aya zumrayi nas nas
Manam Hazrati Abbas(a.s.)
HUWA QATAL JO SAQQA
QAMAR THAAM KAY MOLA(a.s.)
BARHAY JANIB E DARYA
LABOO PER THA YEH NOHA
KAHA HO MERA ABBAS(a.s.)
SHAH E DEEN(a.s.) KA HAI NOHA
NAHI KOI SAHARA
KAHA HAI TERA LAASHA
NAZAR KUCH NAHI AATA
KAHA HO MERE ABBAS(a.s.)
ABBAS(a.s.)
ABBAS(a.s.)
PISAR ZAHRA(s.a.) KA JO LAASHE ALAMDAR(a.s.) PAY POHCHA
LAHO SAAF KIA GHAZI(a.s.) KI AANKHO SAY TO BOLA
HAMAY BHAI KAHO HOGA YEH AHSAAN TUMHARA
SUNA MAZHAR O FARHAN
SHAH E DEEN(a.s.) KA JO FARMAAN
KAHA BHAI KO BHAI TO WOH JARRAR PUKARA
MERE LASHAY KO KHEMAY MAIN NA LAY JANA KHUDARA
SAKINA(s.a.) HAI MERI TASHNA DAHAN SYED E ABRAR(a.s.)
YAHAN MAIN HOON DILAFGAR
MUJHE KEHTE HAIN ABBAS(a.s.)
ABBAS(a.s.)
ABBAS(a.s.)
JAB KHOON MAIN ALAM DOOBA HUWA
LAAY THEY MOLA(a.s.)
RO RO KAY SAKINA(s.a.) NAY KAHA
WAAH MUSIBATA
JAB DEKHA ALAM AYA
ALAMDAR(a.s.) NA AYA
KHAIMO MAIN BIBIYO NAY
KIA MATAM O NOHA
WAH ABBASA ABAL FAZL(a.s.)
WAH ABBASA ABAL FAZL(a.s.)
WAH ABBASA ABAL FAZL(a.s.)
WAH ABBASA ABAL FAZL(a.s.)

Abbas Ka Nara

Nadeem Sarwar (2021)

Ek shor hai..
Abbas hai abbas..(2)
Ek shor hai
Abbas hai abbas..(2)
Dariya pe jo pohcha asadullah ka pyara
Abbas hai abbas..(2)
Dariya pe jo pohcha asadullah ka pyara
Lalkar ke phir fauj ko ghazi ye pukara
tum sab yehi kehte the ke dariya hai humara
ab dekho ke dariya hai humara ke tumhara
lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(4)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(2)
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3)
1. Mai haider e qarrar ke saaye me pala hu
mai fatima zahra ki duao ka sila hu
abbas mera naam alamdar e wafa hu
ye naam o nasab hai meri qismat ka sitara
dariya hai humara..(2)
lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(2)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
2. Aaqa ki duao ka karam saath hai mere
dekho bani hashim ka hasham saath hai mere
rutba hai alamdar alam saath hai mere
lehrake farera bhi ye karta hai ishara
dariya hai humara..(2)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3)
3. Sahil pe jo ye fauj ke daste hai tumhare
ek aan mein paywand e zamee'n ho abhi saare
dariya ulat aaye abhi qadmo'n me humare
ek hashr bapa kardu mai kardu jo ishara
dariya hai humara..(2)
lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(2)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
4. Khat bhej ke tumne jinhe yasrab se bulaya
mehman the lekin unhe dariya se hataya
pyaase hi rahe wo unhe paani na pilaya
Allah ne jinke liye kausar ko utara
dariya hai humara..(2)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3)
5. Ye hukm hai aaka ka na talwar uthana
warna meri zarbo se larazta ye zamana
ye fauj e jafakaar ye zalim ka thikana
ek naize se naqsha hi badal jayega saara
dariya hai humara..(2)
lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(2)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
6. Kya fauj ki tadaad batate ho hume tum
hum dekhe ke kis tarha hatate ho hume tum
kis hakim o jabir se darate ho hume tum
ab naam na lena kisi hakim ka dobara
dariya hai humara..(2)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(3)
7.Pyaasa hu magar sunle sabhi dushman e jaani
paani mujhe peena nahi lejana hai paani
haye mere masoomo ki wo tishna dahani
hai mashk e sakina unhi pyaaso ka sahara
dariya hai humara..(2)
lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(2)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
8. Tareekh ne dekha na hilal aisa wafadar
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar..(2)
Tareekh ne dekha na hilal aisa wafadar
Ab bhi hai tarayi ki zamee'n par wo dilafgar
wo dekh zara roza e abbas e alamdar
ek zinda gawahi hai ye marqad ka nazara
dariya hai humara..(2)
abbas ka nara hai alamdar ka nara
dariya hai humara..(2)
lo cheenlo ye hum hai ye qabza hai hamara
dariya hai humara..(2)
Ek shor hai..
dariya hai humara..(2)
Ek shor hai..
dariya hai humara..(2)